Bahadur Shah Zafar’s Poem About The 1857 Revolt & Dilli-The Garden Of Harmony

Gayi yak-ba-yak jo hawa palat nahin dil ko mere qaraar hai 
Karun us sitam ko main kya bayan mera gham se seena figar hai 
(The winds of fate changed suddenly, my heart is inconsolable
How can I describe the pain, my chest is heavy with melancholy)

Ye reaya-e-hind tabah hui kahun kya jo in pe jafa hui 
Jise dekha hakim-e-waqt ne kaha ye bhi qabil-e-dar hai 
(Indians have been ruined, one can’t describe their oppression
The new rulers condemned everyone they saw worthy of the gallows)

Ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phansi logon ko be-gunah 
Wahi kalma-goyon ki samt se abhi dil mein un ke bukhar hai 
(Has anyone heard of such tyranny? That innocents were sent to the gallows!
The rulers still bear such enmity towards those who recite the Islamic creed)

Na tha shahr-e-dehli ye tha chaman kaho kis tarah ka tha yaa’n aman 
Jo khitab tha wo mita diya faqat ab to ujda dayar hai 
(Delhi was never just a city, it was a garden of harmony
They have erased all signs of that, now only a ruined waste remains)

Yahi tang haal jo sab ka hai ye karishma qudrat-e-rab ka hai 
Jo bahaar thi so Khiza’n huyi, jo Khiza’n thi ab wo bahaar hai
 (These straitened conditions that we all find ourselves in, is divinely ordained
The spring has turned into the decay of autumn ,while the decay has turned to spring for some)

Shab-o-roz phool mein jo tule kaho Khaar-e-gham ko wo kya sahe 
Mile tauq qaid mein jab unhe’n kaha gul ke badle ye haar hai 
(Those who were weighed in flowers, morn and night, how can they bear the thorns of grief?
They were given shackles of imprisonment and told to embrace it as as a garland of flowers)

Sabhi jaada matam-e-sakht hai, kaho kaisi gardish-e-bakht hai 
Na wo taj hai na wo takht hai na wo shah hai na dayar hai 
(Everywhere there is the lament and wails of mourning, how terrible is the turn of fate
Neither the crown, nor the throne, nor the emperor or the kingdom remains)

Jo sulook karte the aur se wahi ab hain kitne zalil se 
Wo hain tang charkh ke jaur se, raha tan pe un ke na tar hai 
(Those who once reigned are now dealt humiliation
They are oppressed by the wheel of fortune, not a shred remains on their body)

Naa wabaal tan pe hai sar mera, nahin jaan jaane ka Dar zara 
Kate gham hi, nikle jo dam mera mujhe apni zindagi baar hai 
(My head on my body is no longer a calamity, nor is there a fear of dying
When my head is cut off, I will be at peace for my life is an unbearable burden)

Kya hai gham Zafar tujhe hashr ka jo khuda ne chaha to barmala 
Hamein hai wasila Rasul ka wo hamara hami-e-kar hai
(Why are you worried about doomsday Zafar, whatever God wishes comes to pass
I am hopeful that the Prophet will be my supporter on that Last Day of Judgment)

---- Translation done by Rana Safvi, who is an author, historian and is engaged in documenting of India’s Syncretic past. 


Comments

Popular posts from this blog

Amrita Dalal : A Sitar Exponent